Jab Wo Sath Hai To Kisi Ki Zarorat Nahi Mujhe

Jab Wo Sath Hai To Kisi Ki Zarorat Nahi Mujhe,
Har Taraf Andhera Hai Par Roshni Ki Zarorat Nahi Mujhe,

Koi Rehta Hai Har Waqt Khayalon Me Is Tarha,
K Khwab Dekhne Ki Ki Zarorat Nahi Mujhe,

Ek Dost Hai Jo Baant Leta Hai Har Dukh Mera,
Har Kisi Ko Apna Gham Batane Ki Zarorat Nahi Mujhe,

Uski Har Baat Lajawab Hai Mere Liye,
Uski Tareef Karne Ki Zarorat Nahi Mujhe,

Uski Aankhon Ki Kashish Kahin Jane Nahi Deti,
Uske Elawa Kisi Ko Apna Banane Ki Ki Zarorat Nahi Mujhe.

Kabhi Aansoo Chupa Chupa K Roye

Kabhi Aansoo Chupa Chupa K Roye,
Kabhi Dastan-e-Gham Suna Suna K Roye,

Raat Katti Hai Intazar-e-Yaar Mein,
Hum Raat Bhar Taron Ko Jaga Jaga K Roye,

Phir Wo Na Aye Raat Ka Wada Kar K,
Hum Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye,

Aaj Raat Unke Aane Ki Ummeed Thi Humain,
Wo Na Aye Hum Ghar Ko Saja Saja K Roye,

Suna Hai Wasi Dua Se Hoti Hai Murad Pori,
Aray Hum To Saari Raat Haath Utha Utha K Roye.

Najane Kia Hoga Na Mil Sake Agar Tum

Najane Kia Hoga Na Mil Sake Agar Tum,
Saans To Chale Gi Par Zinda Na Hon Ge Hum,

Dil Mein Gilay To Hon Ge Bohat,
Magar Khamosh Rahen Ge Phir Bhi Hum,

Na Chaha Tha Na Chahen Ge Kisi Ko Itna,
Ji Liya Shayad Bas Jeena Tha Jitna,

Bas Phir Khuda Se Ek Dua Karen Ge Hum,
Tum Hamain Bhool Jao Aur Zindagi Ko Hum,

Meri Bhi Saari Khushiya Milen Tujhe,
Tere Gham Bhi Cheen Len Ge Hum,

Agar Aisa Ho Jaye To,
Haar K Bhi Jeet Jain Ge Hum.