Mana K Zamany K Lakh Aib Hain Mujh mein
Mana K Zamany K Lakh Aib Hain Mujh mein,
.
.
.
.
Magar Dosto Ko Bhool Jana Mujhe Aaj Bhi Na Aaya.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Mana K Zamany K Lakh Aib Hain Mujh mein,
.
.
.
.
Magar Dosto Ko Bhool Jana Mujhe Aaj Bhi Na Aaya.
Alfaz K Jhoote Bandhan Mein,
Aghaz K Gehre Pardon Mein,
Har Shakhs Mohabbat Karta Hai,
Halan K Mohabbat Kuch Bhi nahi,
Sab Jhootay Rishte Natey Hain,
Sab Dil Rakhne Ki Baten Hain,
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai,
Sab Asli Roop Chupate Hain,
Ehsas Se Khali Log Yahan,
Lafzon K Teer Chalate Hain,
Ek Baar Nazar Mein Aa K Wo,
Phir Sari Umar Rulate Hen,
Ye Ishq-o-Mohabbat Mehr-o-Wafa,
Ye Sab Kehne Ki Batein hain,
Har Shaks Khudi Ki Masti Mein Hai,
Bas Apni Khatir Jeeta Hai,
Alfaz K Jhote Bandhan Mein,
Aghaz K Gehre Pardon Mein.
Baat Sajdon Ki Nahi Khaloos-e-Niyat Ki Hoti Hai,
.
.
.
.
Aksar Log Khali Hath Laut Aatay Hain Har Namaz K Baad.
Unho Ne Dekha Aur Kaha Humse,
Hum Mil Gaye Humare Rasty Mil Gaye,
Humne Thama Hath Aur Kaha Unse,
Abhi Bohat Hain Faslay Humary Darmeyan.