Mujhe Aansoun Ki Talab Nahi

Mujhe Aansoun Ki Talab Nahi,
Mujhe Zindagi Ki Talash Hai,

Jisay Dhond Kar Bhi Na Pa Saka,
Mujhe Phir Ussi Ki Talash Hai,

Mujhe Dushmanon Mein Na Dhondna,
Mujhe Doston Mein Talashna,

Main Mohabbaton Ka Aseer Hon,
Mujhe Dosti Ki Talash Hai,

Meri Rah-e-Azm-e-Talash Mein,
Koi Zindagi Ka Rafeeq Ho,

Koi Aanson Ka Charagh De,
Mujhe Roshni Ki Talash Hai,

Main Bulandion Ka Zameer Hon,
Main Rafaqaton Ka Pazeer Hon,

Mujhe Nafraton Ki Zamin Par,
Mohabbaton Ki Talash Hai.

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi,
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi,

Yehi Bohat Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se,
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi,

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Mein Choopa Ke Tumko,
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi,

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha,
Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi.

Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana,
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi,