Naseeb mein ho to miljaye ga

Few lines for you in the last month of 2011 . . . . .  . .

Kabhi kisi qeemti cheez ko ye samajh kar na chorrna k naseeb mein ho to miljaye ga,
Q k naseeb khud hoslay ka mohtaj hota ha.
Jo acha lage wo apni mehnat se hasil karo.
wohi tumhara naseeb banjaye ga!

Khush Rehne Ki Saza

Tamam Suboto Aur Gawahon Ko Maddenazar Rakhte Howe,
Aap Ko Dafa 01/01/2012 K Tehat

8 Din Pehle Happy New Year Kehte Howe
Zindagi Bhar Khush Rehne Ki Saza Di Jati Hai  🙂

Mujhe Bivi Chahiye

Aey Sard Sard Raat Mujhe Bivi Chahiye,
Karni Hai Dil ki Baat Mujhe Bivi Chahiye,

Uljhi Hui Firaq Ki Raaton K Darmiyan,
Tanha Hai Meri Zaat Mujhe  Bivi Chahiye,

Bachpan Ki Zid Nahi Jawani Ki Baat Hai,
Aey Merey Lovely Maan Baap Mujhe Bivi Chahiye,

Chehry Sy Berukhi Ka Naqab Utar Do,
Ab Maan Jao Baat Mujhe Bivi Chahiye,

Dekhi Hai Main ne Dulhan Mujhe Baraat Chahiye,
Kar Di Hai Aakhri Baat Mujhe Bivi Chahiye,

 

Dedicated to all Unmarried Boys.  🙂