Happy Loadshedding Day

P O E M
Bijli hoon main bijli hoon,
Pakistan ki Titli Hoon,

Adha Ghanta Aati Hoon,
8, 8 Ghanta Jaati Hoon,

Uper Phankha Sota Hai,
Neechey Banda Rota Hai,

Banday ki Jaan Jaati Hai,
Bijli Us Ko Tarpati Hai,

Bijli Main Nirali Hoon,
Bohat Nakhray Wali Hoon.

Happy Loadshedding Day
Moombatti Jala K Geo

Awaam ki bardasht

1 Badshah ne apne Wazeer se awaam ki bardasht maloom karne ko kaha.

Saray Log kaam pr jane ke Liye 1 pull pr se guzarte thay Wazeer ne pull pr se guzarne ka tax lga dya Mgr koe ehtajaj nahi hua Wazeer ne tax barha kr 10 guna krdia Phr bhi koi ehtajaj nahi hua Wazeer hr tax dene walay ke 10 jutay bhi Lgane ka hukum dia Aglay din Log Badshah ke Mehal ke bahr jma hogae Badshah samjha ab ehtajaj hoga Badshah ne Logo se unka masla pucha? Jawab aya ke Jutay maarne wala 1 hi admi hay Lambi Line Lgani parti hay Kaam pr Late hojate hen Jutay maarne walo ki tadaad brhaee jae…….!

Dedicated to ALL HUMWATAN……!

Mene apne DiL se pochha

Mene apne DiL se pochha Mujhe raat bhar neend q nahi aati?

Mere DiL ne kaha. .   .

Drama mat kar, Kamine tu dopehar me jo so leta hai

<(‘.’)   Oh shit
@@> me samjha
// mujhe pyar hogya hy

Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Sham K Baad

Aankh Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Sham K Baad,
Mujh Se Ho Jata Hai Har Koi Khafa Sham K Baad,

Chaand Jab Ro K Sitaron Se Galy Milta Hai,
Aik Ajab Rang Ki Hoti Hai Fiza Sham K Baad,

Hum Ne Tanhai Se Pocha K Milo Gi Kab Tak?
Us Ne Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Sham K Baad,

Loat Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali,
Jane Kis Arsh Pe Jati Hai Dua Sham K Baad,

Maar Jata Hai Bichar Janne Ka Dohra Ehsaas,
Kash Na Ho Koi Kisi Se Juda Sham K Baad.