Ajeeb Hain Ye Bandishain Mohabbat Ki
Bohat Ajeeb Hain Ye Bandishain Mohabbat Ki Janab,
Koi Kisi Ko Toot Kar Chahta Hai,
Aur
Koi Kisi Ko Chah Kar Toot Jata Hai.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Bohat Ajeeb Hain Ye Bandishain Mohabbat Ki Janab,
Koi Kisi Ko Toot Kar Chahta Hai,
Aur
Koi Kisi Ko Chah Kar Toot Jata Hai.
Paa K Tumko Hum Khona Nahi Chahtey,
Judai Me Tumhari Hum Rona Nahi Chahtey,
Bas Zindagi Bhar Tum Humary Hi Rehna,
Kio K Hum Bhi To Kisi Aur K Hona Nahi Chahtey.
Kisi Ki Yaad Dil Me Hai Koi Ehsaas Baqi Hai,
Badalte Mausamon K Darmiyan Ek Raaz Baqi Hai,
Abhi Main Safar Mein Hon Mile Gi Manzil Mujhe,
Magar In Raaston K Darmiya Ek Sath Baqi Hai,
Kahin Pe Shaam Dhalti Hai Kahin Raat Hoti Hai,
Abhi To Chaandni Hai Chaand Ki Raat Baqi Hai,
Chale Aao Kisi Din Tum Humara Haal Bhi Dekho,
Humara Jism Murda Hai Magar Ek Saans Baqi Hai,
Umeed Hai Phir Bhi Mile Ga Wo Humein Ek Din,
Khuda Par Hai Bharosa, Khuda Ki Zaat Baqi Hai.
Biwi:
Batao Wo Kon Si Cheez Hai Jo Tum Roz Roz Dekh Sakte Ho Par Torr Nahi Sakte?
Shohar Pyaar Sey:
Tumhara Munh