Chahat Nahi To Hum Se Ada Kariyan Na Kar

Paida Rah-E-Khalos Mein Dushwariyan Na Kar,
Chahat Nahi To Hum Se Ada Kariyan Na Kar,

Lafzoon Se Khailny Ki Zarorat Nahi Tujhy,
Saada Diloon K Sath Ye Fankariyan Na Kar,

Jin Se Nahi Lagao Unhein Munh Bhi Na Laga,
Be Wajah Har Dukaan Se Khridariyan Na Kar,

Tu Shakh-E-Gul Hai Koi Amar Bail To Nahi,
Wabasta Har Shajar Se Wafadariyan Na Kar,

Taaza Hai Dil Pe Daagh Agar Pehli Maat Ka,
Phir Doosri Shikast Ki Tayariyan Na Kar.

Aik yahodi ne kisi Aalim-e-Deen se kaha

Aik yahodi ne kisi Aalim-e-Deen se kaha,

Humari ebadat Allah Pak ko ziada pasand hai,
kio k jab hum ebadat karty hain to humain koi khayal, waswasa nahi ata.
Jab k me ne suna hai tum log Namaz parhty ho to bohat sary khayalat tumhary zehn me aaty hain.
Jawab me Aalim-e-Deen na kaha:
2 makan hain
1 khali hai ro dosra makan Heron se bhara hai.
Ab batao chor kis makan mai jaye ga?
Yahodi bola: dosray makan mein.
Is par Buzarg ne Muskura kar jawab dia yehi haal kafir aur Musalman k dil ka hai.
Jis ka dil pehly hi Eman se khali ho wahan Shetan kia lenay aayaga.