8 Pyari Batien

8 Pyari Batien!

1. Haya Aur Parda Waqar Mein Izafa Karta Hai.

2. Hasad Dil Ko Tabah Karta Hai.

3. Olaad K Liye Jo Bhi Cheez Lao Pehle Larki Ko Do Phir Larke Ko.

4. Dunya Mein Sabse Khatarnak Ghussa Jawani Ka Hai.

5. Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle Itna Zaror Socho K Agar Aap Uski Jaga Hon To Aap Par Kia Guzray.

6. Achi Guftago Chandi Hai Aur Khamoshi Sona.

7. Tumhara Apny Bhai Se Milty Waqt Muskura Dena Bhi Sadqa Hai.

8. Sirf Rab K Samne Roya Karo.

Bara Anmol Lagta Hai

Teri Aankhon Ka Ye Kajal Bara Anmol Lagta Hai,
Teri Zulfon Ka Ye Badal Bara Anmol Lagta Hai,

Bara Masoom Sa Hai Ye Tere Chehre Ka Bhola Pan,
Tera Wo Shokh Chanchal Dil Bara Anmol Lagta Hai,

Tere Peron Ka Wo Payal, Tere Hathon Ka Wo Kangan,
Wo Jhumka Tere Kaano Ka Bara Anmol Lagta Hai,

Jo Milte Ho Mujhse Raahon Mein To Dil Jhoom Uthta Hai,
Zara Se Sath Ka Wo Pal Bara Anmol Lagta Hai,

Dua Hai

Dua Hai Us Khaliq-e-Kainat Se K Aap Ki Sari Mushkilaat Door Karay,

Dua Hai Us “Ghafoor Ur Raheem” Se Aap Ko Sehat Ata Karay,

Dua Hai Us “Rab-Ul-Izzat” Se K Aapki Hifazat Karay,

Dua Hai Us “Ghani” Se K Aapko Her Darja Nawaaz De,

Dua Hai “Malik-e-Kainat” Se K Aapko Her Khushi Se Nawaaz De.

Ameen