Ho Raat Akeli Pichle Paher

Ho Raat Akeli Pichle Paher Aur Chaand Aangan Mein Aajaye,
Tum Chaand Ki Manind Tanha Ho Ye Baat Tumhain Tarpa Jaye,

Kuch Khwab Saja Kar Ankhon Mein Tum Chaand Se Batain Kar Lena,
Hum Yaad Tumhain To Karten Hain Tum Yaad Humain Bhi Kar Lena,

 

Kuch Baat Na Ho Jab Aisy Hi Num Aankhen Tumhari Ho Jaye,
Tum Baat Kahin Karty Ho Dil Aur Kahin Par Kho Jaye,

Jazbaat K Aisy Aalam Me Muskan Labon Py Bhar Lena,
Hum Yaad Tumhain To Karten Hain Tum Yaad Humain Bhi Kar Lena.

Apne Rab Ko ALLAH Keh Kar Pukaro

Apne Rab Ko ALLAH Keh Kar Pukaro,
Kion K Ye Wo Lafz Hai
Jis Ki Na Zid (Opposite)
Na Jama (Plural)
Na Muzakkar (Male)
Na Moannas (Female ) Hai.
Jab K Deegar Alfaz Ki Zid
Jama
Muzakkar
Moannas Hoti Hain.
Misaal K Tor Par;
God=Goddess
Devta=Devi
Khuda=Khudaon
Lord=Lords
Etc…
Jab K
ALLAH Ahad
Yani Aik Hai.

Please Spread This Beautiful Knowledge.