Jahaz aap logon k students ne banaya hai

Level of confidence

1 din bohat se professors ko 1 jahaz me bethaya gaya.
Jab sab jahaz me beth gaye to unko bataya gay k ye jahaz aap logon k students ne banaya hai.
ye sun kar sab bhag kar jahaz se nikal gaye siwae 1 k jo bohat pursakoon bethe thy.
is par un sahib se waja pochi gae to unhon ne jawab dia k agar ye jahaz waqai mere students ne hi banaya hai to phir mujhe yaqeen hai
k ye start hi nahi ho ga… 🙂

Mohabbat kia hai?

Main ne pocha
Zindagi se,
Jawani se,
Suraj se,
Phoolon se,
Kainaat se,
Asmaan se,
Zameen se,
Laila se,
aur
us k Majnoo se,
Dost se,
Lekin koi tasalli bakhsh jawab na mila.

Aakhir tareekh hath pakarr kar peechay le gayi,
bohat peechay…
Raat tareek thi…
Taray bhi so chuke thay…
Ek Azeem Hasti Sajde mein jhuki,
geeli Aankhon k sath,
swaali ban k
1 hi lafz dohra rahi thi,
UMMATI
UMMATI

MERI UMMAT
MERI UMMAT

Tareekh ny jhinjhor kar kaha
Aey Nadaan
ye hai Mohabbat
Ya Allah Nabi (S.A.W) ki Haqiqi Mohabbat naseeb kar.