Liye Phir Raha Hon
Chashm-E-Nam, Dil-E-Muztarib, Gham-E-Aarzoo, Gham-E-Justajoo,
.
.
.
.
Liye Phir Raha Hon Nagar Nagar Kisi Mehrban Ki Amanaten.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Chashm-E-Nam, Dil-E-Muztarib, Gham-E-Aarzoo, Gham-E-Justajoo,
.
.
.
.
Liye Phir Raha Hon Nagar Nagar Kisi Mehrban Ki Amanaten.
Mezbaan:
Lassi aap peety nahi,
chaye hum pilatay nahi,
roti ka time nahi,
botal ka mosam nahi,
ab batain kia khidmat karen?
Mehman:
Easyload hi karwa den phir.
Ye Khamoshi,
Ye Tareek Raatein,
Ye Dobte Howe Armaan,
Ye Jaltay Diye,
Ye Bujhti Shaamein,
Ye Kuch Aur Nahi Sirf…
Wapda Ki Bagherti Hai……
Bijli to de do kambakhtoooooon !!!!!!
Mahtaab Sift Log Yahan Khaak Basar Hain,
Hum Mehv-E-Tamasha Sar-E-Raah Guzar Hain,
Hasrat Si Barasti Hai Dar-O-Baam Pe Har Soo,
Roti Hoi Galiyan Hain Sisaktay Howe Ghar Hain,
Aaye Thy Yahan Jin K Tasawur K Sahary,
Wo Chaand Wo Suraj Wo Shab-O-Roz Kidhar Hain,
Bik Jayen Jo Har Shakhs K Haathon Sar-E-Bazar,
Hum Yousaf-E-Kinaan Hain Na Lal-O-Gohar Hain,
Hum Log Milein Gay To Mohabbat Say Milein Gay,
Hum Nuzhat-E-Mahtaab Hain Hum Noor-E-Sahar Hain.