zindagi k yaadgar din

Maine zindagi mein bohat se dost banaye, Kuch bohat khaas, Kuch bohat pyare  1-2 se to mujhe MOHABBAT bhi bohat thi, Kuch shehar chor gaye, To kisi ne ghar badal lia,  Kisi ne mujhe chor dia, aur kisi ko maine. Kuch doston se rabta hai, kuch se nahi, Kuch apni ana ki waja se rabta nahi kartay, Kahin meri ana mujhe rokti hai. Wo sub jese bhi hen, jahan bhi hen, Mery dil me aaj bhi unka ek khaas moqam hai…

Q k maine un k sath zindagi k yaadgar din guzare hain.
“LOVE YOU FRIENDS”

“I MISS YOU”

Meri Taza Kitab

Ajnabi Wo Bhi Ajab Mosam Tha,
Teri Qurbat Ka Sunehra Mosam,
Teri Khushboo Se Mehakta Howa Gehra Mosam,
Tere Chehrey Ki Tamazat Se Dehakti Subhen,
Teri Zulfon Ki Shubahat Se Lehakti Shamen,
Tery Lehjy Ki Shararat Se Shagufta Lamhen,
Teri Aankhon Mein Larazty Howe Iqrar Ki Lo,
Teri Awaz K Gulposh Abad Zaron Mein,
Khwab Dar Khwab Duaon K Gulab,
Tere Blory Hatho Mein Meri Taza Kitab,
Ajnabhi Ye Bhi Ajab Mosam Hai,
Teri Furqat Ka Jhulasta Mosam,
Aag Ban Kar Meri Sochon Py Barasta Mosam,
Kitna Mehrom-E-Tarab Mosam Hai,
Gham Bhi Jan, Noha Ba Lab Mosam Hai,
Teri Khushbo Ka Jazeera Na Teri Yaad Ka Shehar,
Meri Uas Uas Mein Utarta Howa Tanhai Ka Zehr,
Zehr Ki Lehar,
Zehr Ki Lehar K Hamrah Tery Dard Ka Qehar,
Qriya-E-Jan Mein Utarta Hai To Yon Lagta Hai,
Jesy Nazl Ho Kisi Shehr-E-Chraghan Py Azab,
Jesy Be Aab-O-Hawa Rut Mein Jhulas Jayen Gulab,
Dil Mein Abad Dard Bikharta Hai To Yon Lagta Hai,
Is Tarha Tot Rahi Ho Kisi Khemy Ki Tanab,
Aisy Lagta Hai K Is Bar Na Choo Paye Gi,
Tery Blory Hathon Ko Meri Taza Kitab…

Tamam Din Main Karri Dhoop K Safar Mein Jala

Tamam Din Main Karri Dhoop K Safar Mein Jala,
Hoi Jo Shaam Diya Ban K Apne Ghar Mein Jala,

Sabhi K Naam Likhey Main Ne Roshni K Khatoot,
Main Apne Ghar Mein Bujha Un K Baam-O-Dar Mein Jala,

Laga K Aag Na Samjho K Jal Gayi Parwaaz,
Yeh Kab Howa K Parinda Koi Shajar Mein Jala,

Us Aik Harf-E-Tamanna Ki Raakh Hain Aansoo,
Charagh Sa Jo Hawaaon Ki Reh Guzar Mein Jala,

Jali Na Ho Gi Kabhi Aag Is Tasalsul Se,
K Jitni Dair Yeh Dil Arsa-E-Hunnar Mein Jala,

Koi Shajar Se To Pochey K Kis Saleeqay Se,
Miyaan-E-Aab-O-Hawa Khwahish-E-Samar Mein Jala,

Qareeb-O-Door Ki Sab Bastiyaan Munawwar Keen,
Yeh Aik Dil Jo Mera Aatish-E-Hunner Mein Jala,

Kisi Ka Haath Mere Haath Mein Raha Aasim,
Main Chaandni Mein Nahaya K Dopehar Mein Jala.