Duniya se mohabbat
Aaj ki pyari baat.
Duniya se mohabbat karny wala duniya ka ghulam ban jata hai
aur
Allah se mohabbat karny waley ki duniya ghulam ban jati hai.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Aaj ki pyari baat.
Duniya se mohabbat karny wala duniya ka ghulam ban jata hai
aur
Allah se mohabbat karny waley ki duniya ghulam ban jati hai.
Kia Andheron K Dukh, Kia Ujalon K Dukh,
Jab Hara Den Muqaddar K Chahlon K Dukh,
Jinki Aankhen Nahi Wo Na Royen Kabhi,
Jan Jayen Agar Aankh Walon K Dukh,
Meri Manzil Kahan Hamsafar Hain Kidhar?
Maar Dalen Gy Ab In Sawalon K Dukh,
Tum Milay Ho Tumhari Mohabbat Nahi,
Hijr Se Barh Gaye Hain Visalon K Dukh.
Two secrets to keep relationship strong…
1. Whenever you are wrong, admit it.
2. Whenever you are right, just keep quiet.
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna,
Kabhi Milay To Yehi Baat Usay Kehna,
Wo Sath Tha To Zamana Tha Humsafar Mera,
Magar Ab Koi Nahi Mery Sath Usay Kehna,
Usay Kehna K Bin Uskay Din Nahi Katta,
Sisak Sisak K Katti Hai Raat Usay Kehna,
Usay Pukaron K Khud Hi Pohanch Jaon Uskay Pass,
Nahi Rahy Wo Halaat Usay Kehna,
Agar Wo Phir Bhi Na Lautay To Aey Meharban Sahil,
Humari Zeest K Halaat Usay Kehna,
Her Jeet Us K Naam Kar Raha Hoon Main,
Main Manta Hoon Apni Maat Usay Kehna.