Khayal Karna K Pas Main Hon

Kabhi Tumhara Udas Dil Ho Khayal Karna K Pas Main Hon,
Kabhi Kisi Ki Kami Lagay To Khayal Karna K Pas Main Hon,

Tumhare Apne Door Bethe Tumhari Nazrein Utarte Hain,
Jo Tum Na Unko Kareeb Pao To Khayal Karna K Pas Main Hon,

Kabhi Jo Tanhai Mein Kisi Ki Sadain Tum Ko Sunai Dein,
To Chupke Chupke Se Band Ankhon Ko Khola Karna K Pas Main Hon,

Ye Mera Wada Bhi Yaad Rakhna K Main Na Tum Ko Bhula Sakon Ga,
Jo Tum Bhi Mujh Ko Bhula Na Pao Khayal Karna K Pas Main Hon.

Naya awami pakage

Dear customer ab WAPDA laya aap k liye naya awami pakage
5 ka 55
yani har ghanta 5 mint light istimal karain aur 55 min tak bijli ki shandar bachat karen.
wo bhi bilkul muft
sath hi
1. mobile charge na hone se balance ki bachat
2. TV na dekhne se gunahon ki bachat
3. bijli jany par sabar karne se sabreen mein shumar
4. bijli aany par Allah ka shukar karne se shakireen mein shumar
wo bhi har ghante
yani janat mein jany k beshumar mawaqy
KESC tum hi to ho
ye offer Pakistan mein umar bhar k liye hai
abhi se apna pakage active samjhen