Kisi Ne Aik Baar Kaha Tha
Aaj Bazar Mein Phool Bikte Dekhe To Qadam Ruk Se Gaye,
.
.
.
.
Kisi Ne Aik Baar Kaha Tha DOST Phool Jaise Hote Hain.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Aaj Bazar Mein Phool Bikte Dekhe To Qadam Ruk Se Gaye,
.
.
.
.
Kisi Ne Aik Baar Kaha Tha DOST Phool Jaise Hote Hain.
Palkon Ki Had Ko Tor Kar Daman Pe Aa Gira Mohsin,
.
.
.
.
Aik Aansoo Mere Sabar Ki Toheen Kar Gaya ~ ~
Wo Jaanta Hai Mujh Se Sabar Nahi Hoga,
Wo Mere Dard Se To Bekhabar Nahi Hoga,
Main Do Qadam Chalon To Dil Pukarta Hai Yehi,
K Uska Sath Na Ho To Safar Nahi Hoga.
Abhi Kuch Din Mujhy Meri Mohabbat Azmany Do,
Mujhy Khamosh Rehny Do,
Suna Hai Ishq Sacha Ho To Khamoshi,
Laho Ban Kar Ragon Me Nach Uthti Hai,
Zara Us Ki Ragon Me Khamoshi Ko Jhoom Jany Do,
Abhi Kuch Din Mujhy Meri Mohabbat Azmany Do,
Usey Main Q Bataon Main Ne Usko Kitna Chaha Hai,
Bataya Jhoot Jata Hai, K Sachi Baat Ki Khushbo To Khud Mehsos Hoti Hai,
Meri Baaten, Meri Sochen,Usay Khud Jan Jany Do,
Abhi Kuch Din Mujhy Meri Mohabbat Azmany Do,
Agar Wo Ishq K Ehsas Ko Pehchan Na Paye,
Mujhe Bhi Jan Na Paye,
To Phir Aisa Karo Aey Dil, Khud Gumnam Ho Jao,
Magar Us Bekhabar Ko Zindagi Bhar Muskurany Do.