Woh Rotha Rotha Sa Lagta Hai
Woh Rotha Rotha Sa Lagta Hai,
Koi Tarkeeb Batao Manane Ki,
Main Zindagi Girvi Rakh Sakti Hon,
Tum Qeemat Batao Muskurane Ki.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Woh Rotha Rotha Sa Lagta Hai,
Koi Tarkeeb Batao Manane Ki,
Main Zindagi Girvi Rakh Sakti Hon,
Tum Qeemat Batao Muskurane Ki.
Jab Bilkul Akely Ho Allah Ko Yaad Karo.
Pareshan Ho Darood Sharif Parho.
Udas Ho “Ya Hayee-O-Ya Qayyum” Parho.
Tension Mein Ho “Ya Rahimo” Parho.
Achi Baat Agay Phehlao
Dua Deta Hai Dil Tujhe Har Sukh Pane Ki,
Nazar Na Lage Kabhi Tujhe Zamane Ki,
Samet Le Tera Dil Har Khushi Zamane Ki,
Sada Rahe Teri Ada Muskurane Ki.
Ek Aur Raat Chali Gayi Zindagi Se,
Ek Aur Din Aa Raha Hai Zindagi Mein,
Ye Mat Socho K Kitne Lamhen Hain Zindagi Mein,
Ye Socho K Kitni Zindagi Hai Har Lamhe Mein.
Have A Sweet Morning. 🙂