Wo Bhi Kia Kia Din Thy

Wo Bhi Kia Kia Din Thy,

Ammi Ki Goad Aur Papa K Kandhe,

Na Parhai Ki Soch, Na Life K Funde,

Na Kal Ki Chinta, Na Future K Sapne,

Ab Kal Ki Hay Fikar, Aur Adhure Hain Sapne,

Murr K Dekha To Bohat Door Hain Apne,

Manzilon Ko Dhoondhte Howe Kahan Kho Gaye Hum,

Kitni Jaldi Itne Bare Ho Gaye Hum.

Sab Bhool Chuka Hoon

Dunia Se Mujhy Pyar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,
Ek Shakhs Mera Yaar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Bakhshi Hai Mujhy Pyar Kay Badle Mein Judai,
Jo Bhi Tera Kirdar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Bas Itna Mujhy Yaad Hai Ik Wasal Ki Shab Thi,
Iqrar Tha Inkar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Haan Meri Khata Thi K Tujhy Toot K Chaha,
Haam Main Hi Gunehgar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Ek Shakhs Nay Pagal Sa Bana Rakha Tha “Wasi”
Main Kitna Samajh Dar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,