Aankhon Mein Toofaan Sa Kyon Hai
Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofaan Sa Kyon Hai?
Is Shehar Mein Har Shaks Pareshaan Sa Kyon Hai?
Dil Hai To Dharakney Ka Bahana Koi Dhoonde,
Patthar Ki Tarah Behis-O-Bejaan Sa Kyon Hai?
Tanahaee Ke Ye Kaunsay, Manzil Hain Rafeqon,
Ta-Had-E-Nazar Ye Bayabaan Sa Kyon Hai?
Kia Koi Nayi Baat Nazar Aati Hain Hum Main,
Aaiyena Humein Dekh Ke Hairan Sa Kyon Hai?