Lipat Kar Apni Tanhai Se

Lipat Kar Apni Tanhai Se Jagta Rehta Hon Main,
Tamam Raat Kisi Ki Yaad Mujhe Soney Nahi Deti,

Us Ki Koi Masoom Si Shararat Jab Bhi Aati Hai Yaad,
Udaas To Kar Jati Hai Par Roney Nahi Deti,

Log Kehte Hain Bhol Kar Usey Nayi Zindagi Shuro Kar,
Wo Roh Per Qabiz Hai Mujhe Kisi Aur Ka Hone Nahi Deti.

 

Mera Mohsin Wafa Ka Youn Sila Mangta Hai

Mera Mohsin Wafa Ka Youn Sila Mangta Hai,
Jesay Soraj Kisi Jugnu Se Ziya Mangta Hai,

Mere Be Noor Khayalon Ko Ujala De Kar,
Wo Mere Kachay Gharonde Ka Diya Mangta Hai,

Manind-E-Dil Jisay Senay Mein Dharakta Paon,
Janay Kion Mujh Se Bicherne Ki Dua Mangta Hai,

Azal Se Jis Ko Dosti Ka Payember Jana,
Wo Meri Belos Ebadat Se Panah Mangta Hai,

Wo Janta Tha Wafa K Sabhi Okaf-O-Ramoz,
Phir Bhi Iss Khel Mein Wo Mujh Se Nafa Mangta Hai.