Meri Chahat Ka Sar-e-Aam

Meri Chahat Ka Sar-e-Aam To Charcha Na Karo,
Kam To Pehly Bhi Nahi Aur To Ruswa Na Karo,

Bhanp Na Jaye Kahen Dil Ki Lagi Ye Dunya,
Yun Shafaq Ban K Mery Chehry Pe Thehra Na Karo,

Baat Choti Si Bhi Afsana Bana Deti Hai,
Tum Kitabon Pe Mery Naam Ko Likha Na Karo,

Dil Ko BeChain Sa Karti Hain Tumhari Aankhen,
Raat Ko Dair Tak Mujhay Tum Socha Na Karo,

Saamny Sab K Karen Kis Tarha Iqraar Mohsin,
Yun Sar-E-Bazm To Us Se Yeh Taqaza Na Karo.

Mohabbat Ki Tamanna Hai To Phir

Mohabbat Ki Tamanna Hai To Phir Woh Vasf Paida Kar,
Jahan Se Ishq Chalta Hai, Vahan Tak Naam Paida Kar,

Agar Sachcha Hai Mery Ishq Mein To Aey Bani Adam,
Nigahe Ishq Paida Kar Jamal-E-Zarf Paida Kar,

Main Tujh Ko, Tujh Se Ziada Aur Sab Se Ziada Chahon Ga,
Magar Shart Yeh K Apny Andar Meri Justaju To Peda Kar,

Agar Na Badloun Teri Khatir Har Ik Cheez To Kehna,
Tu Apny Aap Mein Pehly Andaz-E-Wafa To Paida Kar.