GUNAH

“GUNAH”
1. Jis gunah se umar kam hoti hai, wo bivi se BAD SULOOKI hai,
2. Jis gunah se insan per laanat hoti hai, wo JHOOT hai,
3. Jis gunah se pakar hoti hai, wo ZULM hai,
4. Jis gunah se rizq band hota hai, wo ZINA hai,
5. Jis gunah per parda fash ho jata hai, wo NASHA hai,
6. Jis gunah se poori insanyat tabah hoti hai, wo QATAL hai,
7. Jis gunah se nematon ko zawal Aata hai, wo takabbur hai,

Achi baat Phelana Sadqa-e-Jaria hai.

TAKLEEF aur MOHABBAT

TAKLEEF
aur
MOHABBAT
Dono Insan ko Aanso de Jati hain.
Lekin Aik farq hai.

TAKLEEF Kabhi na Kabhi Khatam ho Jati hai Magar MOHABBAT kabhi khatam nahi hoti…

Ujaly Bhi Tery Shehar Se Aayen

Habs-E-Shab Ho To Ujaly Bhi Tery Shehar Se Aayen,
Khwab Dekhon To Hawaly Bhi Tery Shehar Se Aayen,

Tery Hi Shehar Mein Sir Tan Se Juda Ho Jaye,
Khoon Baha Mangny Waly Bhi Tery Shehar Se Aayen,

Baat To Jab Hai K Aey Giriyah Kun-E-Hurmat-E-Harf,
Madah-E-Qatil Me Maqaly Bhi Tery Shehar Se Aayen,

Mehzar-E-Jaan Talbi Par Bhi Tery Naam Ki Mohar,
Jaan Sy Jaoun To Naaly Bhi Tery Shehar Se Aayen.

A silent message for our elephant nation

Hathi k bache ko pair mein zanjeer daal k pala jata hai.
Wo zanjeer torne ki kafi din koshish karta hai lekin himmat haar k chorr deta hai.
Jab wo bara aur taqatwar ho jata hai to wohi zanjeer hoti hai jo halki koshish se toot sakti hai,
Magar hathi k dimagh mein wohi hota hai k zanjeer nahi tootey gi aur wo sari zindagi Ghulam rehta hai, Humari Qaum ki tarha.

A silent message for our elephant nation.