Exams mein Students ka NAARA
Exams mein Students ka NAARA.
Yeh bazi haq ki bazi hai,
Yeh bazi tum hi haro gay,
Har jaib se phara nikle ga,
Tum kitne phare pharo gay.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Urdu Poetry , Urdu Shayari , Urdu Shair , Urdu Ashaar
Exams mein Students ka NAARA.
Yeh bazi haq ki bazi hai,
Yeh bazi tum hi haro gay,
Har jaib se phara nikle ga,
Tum kitne phare pharo gay.
STUDENT ka SHIKWA..
Yun fail jo karna tha, pehle hi bata dete,Hum sari kitabon ko choolhay mein jala dete,
Koshish to bohat ki thi, nakam howe aakhir,
Haan pass to ho jate jo naqal kara dete,
Parchay jo mile humko sub khaali diye hum ne,
Ae kash SAFAI ka number hi laga dete………
Kitab khulte hi exam ka sama chaa jaata hai,
Aise mausam mein hi to dimagh ka dahi hota hai,
Dimagh ki baat paper par nahi aa pati yaroo,
Yeh afsana to result mein hi bayaan hota hai.
Nalayek Student ki pehchan:
Yeh student ki pehchan hai,
Hath mein cigret mun me pan hai,
Mashoor ye shetan hai,
Yeh student ki pehchan hai,Parhna isay ata nhi,
Class me kabi jata nai,
Canteen iski jan hai,
Yeh student ki pehchan hai,Jalso me sub se agay hai,
Naaro me sub se agay hai,
Imtehan me naqal iski aan hai,
Yeh student ki pehchan hai,Larkio k pichay para hai,
Jo larki ghusa ho jaye zara,
Tab yeh uska banta bhai jan hai,
Yeh student ki pehchan hai.