Mere exams hone walay hain

Gham-e-zindagi kesay sonaun
Mere exams hone walay hain,

Main khushi kahan se laon
Mere exams hone walay hain,

Tumhen ye gila hai jana k mizaaj hai q berham,
kaho kesay muskoraon,
Mere exams hone walay hain,

Tumhein eid ki hai khushi mujhe hai yaad wo lakin,
Main ye kaisay bhol jaon,
Mere exams hone walay hain,

Sar-e-raah main dagmagaon Mere exams hone walay hain,

Mera zakhm zakhm hai sena to lahoo lahoo safeena,
Main nejaat kesay paon,
Mere exams hone walay hain.

Woh school ki perhai wo pyar bhari baatien

Woh school ki perhai wo pyar bhari baatien,

Wo syllabus ki tension wo exam ki raatien,

Wo Canteen ki party woh friends Ki laatien,

Wo roothna mana-na

Wo bunk mulaaqatien

Proposal ki planning mein wo raat ka guzarna

Phir class k peechay ki seat per sona

betuki baaton ko serious lena

wo matlab ki baatien hansi mein urana

Na wo din hain

Naa raatien, Naa ghusa, Naa baatien

Ager kuch hai to bus Yaadien Hee Yaadien