Jub bhi Teri Deed ka Imkan Rahe Ga
Jub bhi Teri Deed ka Imkan Rahe Ga,
Dil Aur Pareshan Pareshan Rahe Ga,
Chalo Door Reh kar Khwabon mein Milte Hain,
Milne ka Yehi Rasta Aasan Rahe Ga.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Urdu Poetry , Urdu Shayari , Urdu Shair , Urdu Ashaar
Jub bhi Teri Deed ka Imkan Rahe Ga,
Dil Aur Pareshan Pareshan Rahe Ga,
Chalo Door Reh kar Khwabon mein Milte Hain,
Milne ka Yehi Rasta Aasan Rahe Ga.
Jahan Rahay Ga Wahin Roshni Lutaye Ga,
.
.
.
Kisi Charagh ka Apna Makan Nahin Hota.
Wo Mujhse Be-Sabab Uljha Nahi Tha,
Wo Pehle Kabhi Aisa Nahi Tha,
Bohat Aala Tha Uska Zarf Lakin,
Wo Meri Zaat Ko Samjha Nahi Tha,
Wo Jitni Be-Rukhi Se Chal Dia Tha,
Main Itna Bhi Gaya Guzra Nahi Tha,
Ussay Main Kion Burra Tehraon Yaron,
Wo Acha Tha Faqat Mera Nahi Tha.
Sambhala Hai Hosh Jab Se, Muqaddar Sakht-Tar Nikla,
Parra Hai Wasta Jisse Wohi Teer-O-Tabar Nikla,
Sabaq Deta Raha Jo Umar Bhar Roshan Khayali Ka,
Usay Jab Paas Se Dekha, To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahy They Hum,
Usay Jab Chu K Dekha, Faqat Khaki Bashar Nikla,
Mohabbat Ka Khumar Utra, To Tab Sabit Howa Hum Par,
Jisy Hum Umar Samjhe Thy Wo Bemaqsad Safar Nikla.