Hijir k Mosam mein Ye Barish ka Barasna kesa

Hijir k Mosam mein Ye Barish ka Barasna kesa?
Ek Sehra Se Samandar ka Guzarna kesa?

Aey Mere Dil na preshan ho Tanha ho kar,
Wo Tere sath Chala kab tha Bicharna kesa?

Log kehte hain Gulshan ki Tabahi dekho,
Main to Veeran Sa Jungle tha Ujarna kesa?

Dekhne mein to koi Dard nahi Dukh bhi nahi,
Phir Ye Aankhon Mein Yun Ashkoon ka Ubharna kesa?

Bewafa kehne ki Jurrat bhi na Karna Us ko,
Us ne iqrar kiya kab tha Mukarna kesa?

Yoon sotay howe mat chor k jaana

Kaha Tha na k yoon sotay howe mat chor k jaana,

Mujhe beshak jaga dena, Bata dena,

Tumhain rasta badalna hai,

Meri had se nikalna hai,

Tumhain kis baat ka dar tha?

Mein Tumhain jane nahi deta?

kahin pe Qaid kar Leta?

Aray pagal Muhabbat ki Tabiat mein zabardasti nahi Hoti,

Jisay Rasta badalna Ho,

Usay Rasta badalne say,

Jisay Had say nikalna Ho,

Usay Had say Nikalne say,

Na Koi rok paaya hai,

Na koi rok paye ga,

To Tumhain kis baat ka Dar Tha?

Mujhe beshak jaga Detay,

Main Tumko Dekh Hi Leta,

Tumhain Koi Dua Deta,

Kam Az Kam Yoon To Na Hota,

Mere Saathi ye Haqiqat Hai,

Tumhare baad khone k Liye kuch bhi nahi baaqi,

Magar main khone se Darta hoon,

Main ab sonay say Darta Hoon,

Kaha tha na yoon chor k mat jaana.