Kis Ko Doon

Is Imtehan Mein Hoon Dil Ka Hisab Kis Ko Doon,
Hisab-e-Ishq Pe Likhi Kitab Kis Ko Doon,

Har Aik Shakhs Ko Mujh Se Bohat Mohabbat Hai,
Sawal Ye Hai Wafa Ka Jawaab Kis Ko Doon,

Mera Khuloos Mohabbat Wafa Hai Sab K Liye,
Sochta Hon K Lab-e-Lubaad Kis Ko Doon,

Mere Liye To Sabhi Log Aik Jaise Hain,
Sukoon Kis Ko Doon Main Izteraab Kis Ko Doon,

Hojoom-e-Husn K Meley Main Sochta Hoon Main “Wasi”
Haath Main Thama Gulaab Kis Ko Doon.

Jannat K Darwaze Par

3 Log Marne K Baad Jannat K Darwaze Par Pohanche.

1st Bola: Main Molvi Hon Mene Zindagi Bhar Ibadat Ki Mujhe Andar Aane Do.
Awaz Ayi: Next.

2nd: Main Doctor Hon. Mene Zindagi Bhar Logo Ki Help Ki Mujhe Andar Aane Do.
Awaz Ayi: Next.

3rd: Main Shaadi Shuda Hun
Awaz Ayi: Bas Kar! Rolayega Kia Chal Andar Aaja.

8 Pyari Batien

8 Pyari Batien!

1. Haya Aur Parda Waqar Mein Izafa Karta Hai.

2. Hasad Dil Ko Tabah Karta Hai.

3. Olaad K Liye Jo Bhi Cheez Lao Pehle Larki Ko Do Phir Larke Ko.

4. Dunya Mein Sabse Khatarnak Ghussa Jawani Ka Hai.

5. Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle Itna Zaror Socho K Agar Aap Uski Jaga Hon To Aap Par Kia Guzray.

6. Achi Guftago Chandi Hai Aur Khamoshi Sona.

7. Tumhara Apny Bhai Se Milty Waqt Muskura Dena Bhi Sadqa Hai.

8. Sirf Rab K Samne Roya Karo.

Bara Anmol Lagta Hai

Teri Aankhon Ka Ye Kajal Bara Anmol Lagta Hai,
Teri Zulfon Ka Ye Badal Bara Anmol Lagta Hai,

Bara Masoom Sa Hai Ye Tere Chehre Ka Bhola Pan,
Tera Wo Shokh Chanchal Dil Bara Anmol Lagta Hai,

Tere Peron Ka Wo Payal, Tere Hathon Ka Wo Kangan,
Wo Jhumka Tere Kaano Ka Bara Anmol Lagta Hai,

Jo Milte Ho Mujhse Raahon Mein To Dil Jhoom Uthta Hai,
Zara Se Sath Ka Wo Pal Bara Anmol Lagta Hai,