Pankhay Se Latki Hoe Laash

Pankhay Se Latki Hoe Laash,

Khirki Se Dekhti Hoe Rooh,

Bed K Nechay Bethi Hoe Churail,

Washroom Me Chuppa Howa 4 Hathon Wala Aadmi,

Kamray Mein Chalty Phirty Safed Chadar Mein Buzurg,

Kamre K Bahir Se Dekhta Howa Sir Kata Chota Bacha,

En Sab Ki Taraf Dhiyan Mat Dena

Aaram Se Sona…
Bhoot Night

Mohabbat Hai Mujhe

Mohabbat Hai;
Mujhey Apni Tanhai Se
Jo Mujhe Tumhari Yaad K Qareeb Karti Hai.

Mohabbat Hai;
Mujhe Un Khwabon Se
Jo Sirf Tumhain Dekha Karty Hain.

Mohabbat Hai;
Mujhe Guzarti Har Us Raat Se
Jo Beet Gayi Tumhari Yaad Mein.

Mohabbat Hai;
Mujhe Us Sawal Se
Jis Ka Jawab Tum Ho.

Mohabbat Hai;
Mujhe Apne Dil Se
Jo Dharakta Hai Sirf Tumhary Liye.

Mohabbat Hai;
Mujhe Apni Saans Se
Jis Mein Sirf Tumhara Naam Basa Hai.