Yaadein To Wo Hain Jo
Yaadein Wo Nahi Jo Tanhai Mein Aati Hain,
Yaadein Wo Nahi Jo Judai Me Aati Hain,
Yaadein To Wo Hain Jo Bheer Mein Aati Hain,
Aur Tanha Kar Jati Hain.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Yaad SMS
Yaadein Wo Nahi Jo Tanhai Mein Aati Hain,
Yaadein Wo Nahi Jo Judai Me Aati Hain,
Yaadein To Wo Hain Jo Bheer Mein Aati Hain,
Aur Tanha Kar Jati Hain.
Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali Tum Yaad Aye,
Phir Patton Ki Pazaib Baji Tum Yaad Aye,
Phir Koonjain Boleen Ghaas Ke Haray Samandar Mein,
Rut Aai Peelay Phulon Ki Tum Yaad Aye,
Phir Kaga Bola Ghar Ke Sune Aangan Mein,
Phir Amrit Ras Ki Boond Pari Tum Yaad Aye,
Pehle To Main Cheekh Ke Roya Aur Phir Hansne Laga,
Badal Garja Bijli Chumki Tum Yaad Aye,
Din Bhar To Main Duniya Ke Dhandhon Mein Khoya Raha,
Jab Deewaron Se Dhoop Dhali Tum Yaad Aye.
Ek Din Kisi Ne Dil Se Pocha K Waadon Aur Yaadon Me Kia Farq Hai?
Jawab Mila,
Waadey Insaan Torta Hai
Aur
Yaadain Insaan Ko Tor Deti Hain.
Zamanay K Sawalon Ko Main Hans K Taal Don Lekin,
.
.
.
.
Nami Aankhon Ki Kehti Hai, Mujhe Tum Yaad Aate Ho,