Raat Ka Aakhri Pehar Tha

Raat Ka Aakhri Pehar Tha,
Mujh Se Chand Ne Kaha,
Hum Nashen Alvida,
Mujh Ko Neend Aa Rahi Hai,
Kal Milain Gay Isi Jagha,
Sun Kar Main Muskura Diya,
Us Ko Batla Diya,
Jaanay Walay Louttay Nahi,
Tum Nahi Aao Gay,
Mujhe Hai Yaqeen,
Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya,
Aur Kehnay Laga,
Tum Se Wada Karoon,
Phir Poora Na Karoon,
Aisa Mumkin Nahi,
Sun Aey Hum Nasheen,
Main Chaand Hoon Koi Insaan Nahi.

Mera Asasa

Kuch Waade, Qasme, Yaadein Thin,
Kuch Qehqahe Thy, Faryaadein Thin,

Kuch Aanso Thy, Jo Bahaye Thy,
Kuch Dhoky Thy, Jo Khaye Thy,

Kuch Lehjon Ki Parchaiyan Thin,
Kuch Dil Ko Rog Lagaye Thy,

Ab Paas Humare Kuch Bhi Nahi,
Ab Aas K Maare Kuch Bhi Nahi,

Bus

Yaadon Ki Zanjeeren Hain,
Kuch Rang Urri Tasveeren Hain,

Kuch Lafz Miti Tehreeren Hain,
Ek Dil Jo Deed Ka Pyasa Hai,

Bus yehi,
Mera Asasa Hai…

Kash Main Tera Dil Hota

KASH MAIN TERA DIL HOTA,

Teri Yaadon Teri Sochon Pe Mushtamil Hota,
Tere Sath Me Lamha Lamha Dhrakta Rehta,
Khud Se Mujh Ko Juda Na Tu Kar Pata,
Teri Zindagi Ka Daar-O-Madaar Main Hota,
Meray Baghair Tera Jeena Bohat Mushkil Hota,

Kash Main Tera Dil Hota,

Main Agar Khush Hota To Hansata Tujh Ko,
Jo Kabhi Rota To Sath Rolata Tujh Ko,
Tere Sang Jeeta Sang Hi Marta,
Teri Tamam Chahaton Ka Mehwar Hota,
Kash Aey Kash K Main Is Qabil Hota,

Kash Main Tera Dil Hota.

Mohabbat Hai Mujhe

Mohabbat Hai Mujhe Apni Tanhai Say,
Jo Tumhari Yaad K Qareeb Karti Hai,

Mohabbat Hai Mujhe Un Khwabon Se,
Jo Sirf Tumhain Dekha Karti Hain,

Mohabbat Hai Mujhe Guzarti Har Us Raat Say,
Jo Beet Gai Tumhari Yaad Mein,

Mohabbat Hai Mujhe Us Sawal Say,
Jiska Jawab Tum Ho,

Mohabbat Hai Mujhe Apne Dil Say,
Jo Dharakta Hai Sirf Tumhary Liye,

Mohabbat Hai Mujhe Apni Saans Say,
Jis Me Sirf Tumhara Naam Basa Hai.