Rain of Blessings

/R/A/I/N/
/O/F/
/B/L/E/S/S/
/I/N/G/S/
____,_____,
./___,___/ \    . : .
|__[ ]__|_:_|    )”(
–  –  –  –  –  –  – – – – –  –
HAPPY SPRING’S 1st RAINY DAY.

Dil Chahta hai Badal Aain

Dil Chahta hai Badal Aain,

Ghor Andhaira cha jaye,

Badal cham cham toot k barsain,

Sara sheher naha jaye,

Main bhi us barish mein bhegoun,

Sub kuch bhool ke nachoon gaoun,

Khulay Aasman k neechay,

Darakht mein jhoola dal k jhooloon,

Barish barasti jaye,

Aur main itna bheegoon k

Saray dukh aur ghum aur yaadain,

Sub us mein beh jayain,

Her pachtawa aur her sapna,

Her khwahish beh jaye,

Aay mere Malik!

Kabhi to Aisa sawan aye.