ab key december main
ab key december main………
main ney bhi kuch khawab sajai hain
appni saard ankoon mainper daar lagtha hai
…kahi yeh merey khwaab
pigal na jain
dhoop pernay per…….
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
ab key december main………
main ney bhi kuch khawab sajai hain
appni saard ankoon mainper daar lagtha hai
…kahi yeh merey khwaab
pigal na jain
dhoop pernay per…….
Kuch Lamhe November K
Maine Yun Guzare Hain,Mausam Teri Yadoon K
Tasveer Mein Utare Hain,Kapkapate Hoonton se,
Dagmagati Dharkan se,Maine Apne Khaliq se,
Bus Dua Ye Mangi Hai,Ab K Bar Sawan Mein,
Jab Bhi Badal Utrain To,Bas Yahi Tamanna Hai,
Nafraton Ki Baarish Mein,Dushmanon Ki Saazish Mein,
Bus Isi Guzarish Mein,Zindagi Ko Jeene Ka,
Ikhtiyaar Mil Jaye,Aey Mere KHUDA Mujhko,
Mera Pyar Mil Jaye.
Ramooz-e-Maslehat ko Zahen Par Taari Nahi Karta,
Zameer-e-Aadmiyat se Main Ghaddari Nahi Karta,
Qalam Shakh-e-Sadakat Hai, Zuban Barg-e-Amanat Hai,
Jo Dil Mein Hai Wo Kehta Hon, Adakari Nahi Karta,
Main Aakhir Aadmi Hon Koi Laghzish Ho Hi Jati Hai,
Magar Ek Wasf Hai Mujh Mein, Dil Aazari Nahi Karta,
Main Daman-e-Nazar Mein Kis Liye Sara Chaman Bhar Lon,
Mera Zoq-e-Tamasha Baar Bardari Nahi Karta,
Makafat-e-Amal Khud Raasta Tajvez Karti Hai,
Khuda Qomon Pe Apna Fesla Jari Nahi Karta.
Har Raat Usse Bhool Jane Ka Irada Kar K So Jata Hon Mohsin,
.
.
.
Magar Meri Subha Ka Aghaz Mumkin Hi Nahi Us Ki Yaad K Baghair.