Kia Tum Bhi?

Kia Tum Bhi?

Shaam Ki Dehleez Pe Aas Ka Deep Jalatay Ho,

Aur Kisi Awara Pattey Ki Aahat Par,

Darwaze Ki Taraf Bhaagey Jatay Ho,

Kia Tum Bhi?

Dard Chupane Ki Koshish Karte Karte,

Aksar Thak Se Jate Ho,

Aur Bila Wajah Muskurate Ho,

Kia Tum Bhi?

Neend Se Pehle Palkon Par Dheron Khwab Sajatay Ho,

Ya Phir Bistar Par Lait Kar Rotay Rotay So Jatay Ho,

Kia Tum Bhi?

Kisi Ko Chahte Ho???

Motorway Policeman ne Car Wale Ko Roka Aur

Motorway Policeman ne Car Wale Ko Roka Aur Kaha!

Ye Road Safety Ka Week Hai.  Aap Belt Pehan Kar Car Chala Rahe Ho, IsLiye Aapko Rs. 1000 Ka Inaam Diya Jata Hai.

Aap Is Inaam Ka Kia Karoge?

Car Driver: Main Is Inaam Se Apna Driving License Banwaonga.

Pichli Seat Par bethi Uski Maa Boli: Iski Baat Ka Yakeen Mat Karo. Ye Sharab Pi Kar Kuch Bhi Bolta Hai.

Uske Papa Neend Se Jage Aur Police Ko Dekh Kar Bolain: Mujhe Pata Tha K Chori Ki Car Mein Hum Ziada Door Nahi Ja Painge.

Tabhi Car Ki Diggi Se Awaz Aayi: Bhai Humne Border Paar Kar Liya Kia?

:))