Maa ne hanste howe kaha

Main ne Maa k Kandhey par apna sir rakh ka pocha:

“Maa kab tak apne kandhey par sone dogi?”

 

Maa ne hanste howe kaha:

“Jab tak Log Mujhe kandhon par na utha Len.”

Yeh Kamyabiyan, Izat, Yeh Naam Tum Se Hai,

Yeh Kamyabiyan, Izat, Yeh Naam Tum Se Hai,
Khuda Ney Jo Bhi Diya Hai Mukaam Tum Se Hai,

Tumharey Dum Se Hain Merey Laho Mein Khiltey Gulab,
Merey Wajood Ka Sara Nizaam Tum Se Hai,

Kahan Bisat Jahan Aur Main Kamsin-o-Nadan,
Yeh Meri Jeet Ka Sab Ahtamam Tum Se Hai,

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Main Hun,
Jahan Jahan Hai Mera Ahtaraam Tum Se Hai.

 

Happy Mother’s Day