Ye bohat hi pyari Dua hai

Ye bohat hi pyari Dua hai… . .

Ya ALLAH is se pehle k maut humein ruswa karde .  .
“TU” humare jism humari roh ko acha karde, .  .
Ye jo halat hai humari humne hi banayi hai, .  .
Jaisa “TU” chahta hai ab wesa karde, .  .
Humare her faisle mei TERI raza shamil ho, .  .
Jo TERA hukm ho wo humara irada karde, .  .
Hum mein jo beemar hen unko TU acha karde, .  .
Aur jo ye dua aage bheje uski aur meri her jayez tamanna puri karde….  .  .
>>>Aameen<<<

Ham Dekhen Gy By Faiz

Ham Dekhen gy,
Lazim Hai k ham bhe Dekhen gy,

Ham Dekhen gy,

Jab Zulm O sitam k Koh-a-Giraan,
Ruee ke Tarha urrh jayn gy,
Ham Mehkoomon k Paon taly,
Ye Dharti Dharr Dharr Dharky ge,
Aur Ahl-a-hakam k Sar oper,
Jab Bijli karr karr karky ge,

HAM DEKHEN GY..

Jab Arz-a-Khuda k Ka’by sy,
Sab Butt uthwaey jayn gy,
Ham Ahly wafa Mardood-a-haram,
Masnad pe Bithaey jayn gy,
Sab Taaj Uchaaly jayn gy,
Sab Takht Giraey Jayn gy,

HAM DEKHEN GY..

Bas Naam rahy ga Allah Ka,
Jo Gaib bhe hai Hazir Bhe,
Jo Naazir bhe hai Manzar bhe,
Uthy ga An’AlHaq Ka Naraa,
Jo Main bhe hun Or tm bhe Ho,
Aur Raaj kry ge Khalq-a-Khuda,
jo Main bhe hun Aur tm bhe Ho..

HAM DEKHEN GY….

“Faiz Ahmad Faiz”