Samjhta Nahi Ye Dil, Samjhane Chale Aao

Samjhta Nahi Ye Dil, Samjhane Chale Aao,
Do Dilon K Faasle, Mitane Chale Aao,

Junon-e-Ishq Mein Pagal Ho Gaye Hum,
Apni Bahon Mein Mujhe, Samane Chale Aao,

Na Dour Reh Kar Tarpao, Na Dil Ko Tarsao,
Apna Bana K Apnayiat Dikhane Chale Aao,

Mera Ishq Sachcha Hai Mera Aitabar KarLo,
Mera Ishq Mera Pyar Aazmane Chale Aao,

Is Zindagi Mein Sirf Ek Kami Hai Aur Wo Kami Tum Ho,
Wo Kami Mitane Chale Aao.

Bohat Din Baad Aisa Howa Hai

Bohat Din Baad Aisa Howa Hai,
K Humse Aaiyna Rotha Howa Hai,

Humare Hone K Imkan K Agay,
Na Hone Ka Khlaa Phaila Howa Hai,

Tumhare Jeet Janey Se Ziyada,
Humare Haar Ka Charcha Howa Hai,

Bohat Ghul Mil Kar Bhi Duniya Se Humne,
Zara Sa Fasla Rakha Howa Hai.