Aahadees

Best Hadees
1. Allah ki zaat par bharosa karne wala kabhi nakam nahi hota.
2. Kisi ka raz Talash mat karo agar malom ho jaye to phelao nai.
3. Koi bhi musibat parne par mout ki tamana na karo.
4. Insan k sab se bary dushman uske burrey dost hain.
5. Kisi ko khush karna naiki hai.
6. Allah us shaks ko abad karta hai, jo hadees sun kar dosro tak pohanchaye.

Behkawa

Shehar Ki Aankh Mein Kajal Phehla,
Girti Parti Raat Chali Jab……..

Jagtey Lamhon Ne Phir Ye socha,

Neend Ka Kesa Uljhawa Hai,
khwab Hai Ya Phir Behkawa Hai…

Shehar Ki Aankh Mein Kajal Phehla…

Jal Thal Kar Deti Hai Sab Kuch,
Bheegti Shaam Ki Tanhai Bhi,
Chubhti Hai Seeny Mein Jesay,
Koi Gehra Pachtawa Hai…….,
Khwab Hai Ya Phir Behkawa Hai,

Shehar Ki Aankh Mein Kajal Phehla…

(Faseeh Bari Khan)