Aaj Ki Shaam Bhi Qayamat Ki Tarah Guzri
Aaj Ki Shaam Bhi Qayamat Ki Tarah Guzri Faraz,
.
.
.
.
Na Jane Kia Baat Thi Har Baat Pe Tum Yaad Aaye.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Aaj Ki Shaam Bhi Qayamat Ki Tarah Guzri Faraz,
.
.
.
.
Na Jane Kia Baat Thi Har Baat Pe Tum Yaad Aaye.
Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali Tum Yaad Aye,
Phir Patton Ki Pazaib Baji Tum Yaad Aye,
Phir Koonjain Boleen Ghaas Ke Haray Samandar Mein,
Rut Aai Peelay Phulon Ki Tum Yaad Aye,
Phir Kaga Bola Ghar Ke Sune Aangan Mein,
Phir Amrit Ras Ki Boond Pari Tum Yaad Aye,
Pehle To Main Cheekh Ke Roya Aur Phir Hansne Laga,
Badal Garja Bijli Chumki Tum Yaad Aye,
Din Bhar To Main Duniya Ke Dhandhon Mein Khoya Raha,
Jab Deewaron Se Dhoop Dhali Tum Yaad Aye.
Neend se kehdo hum se ab sulah karle.
Kio k jis k liye night package karwaya tha uske sath ab uski ammi soti hain.
<(‘,’)>
…)(
_/\_ OHH NO
Good Night
Hum Teri Yaad Se Khud Ko Bacha Na Sake,
Aur Teri Muhabbat Ko Chupa Na Sake,
Ye Bhi Maloom Tha K Paa Na Sakenge Tumhe,
Magar Phir Bhi Umeed K Diye Ko Bujha Na Sake,
Kitni Hasrat Thi K Keh Don Tum Bin Ji Nahi Sakte,
Magar Samne Tere Hum Nazrain Utha Na Sake,
Tumbhi To Jan Kar Hi Anjan Se Ban Gaye,
Aur Hum Bhi Tumhen Haal-E-Dil Bata Na Sake,
Laakh Koshish Ki Dil Ne K Bhool Jaon Tujhe,
Magar Ek Pal Bhi Tumhe Hum Bhula Na Sake.