Yunhi Anjany Mein Us Say Rafaqat Ho Gayi

Yunhi Anjany Mein Us Say Rafaqat Ho Gayi,
Dil Lagi Karnay Chalay Aur Ussay Chahat Ho Gayi,

Wo Na Ho To Main Khud Se Hi Ulajhti Hoon,
Kiya Karon Mujhe Us Ki Aadat Ho Gayi,

Main Apnay Wajood Mein Us Ko Talash Karti Hoon,
Mujhe Usse Is Qaddar Mohabbat Ho Gayi,

Mery Pass Aao To Jee Loon Do Pal,
Meri To Har Saans Uski Amanat Ho Gayi,

Main Sochti Thi Us K Agay Zindagi Kiya Hai,
Par Ussay Chahne K Liye Zindagi Ki Zarorat Ho Gayi.

Dil Mein Mohabbat-e-Mustafa

Ya Allah
Dil Mein Mohabbat-e-Mustafa
Duniya Mein Sunat-e-Mustafa
Pakistan Mein Nizaam-e-Mustafa
Qabar Mein Maarfat-e-Mustafa
Hoz-e-Kausar Par Jaam-e-Mustafa
Pul-e-Siraat Par Daaman-e-Mustafa
Aakhirat Mein Shifaat-e-Mustafa
Aur
Janat Mein Rafaqat-e-Mustafa
(SALLALLA HO ALAIHE WASALLAM)
Ataa Farma

Ameen