Ek Acha Dost

Ek Acha Dost Naram Takye Ki Tarha Hota Hai,

Jab Aap Thake Hote Hain To Us Par So Jate Hain,

Jab Udaas Hote Hain To Us Par Aanso Giraty Hain,

Jab Aap Gussa Hote Hain To Ussy Maarty Hain,

Aur Jab Aap Khush Hote Hain To Ussy Seeny Se Laga Lety Hain.

Wafa Kuch Aur Hoti Ha

Wafa Is Ko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai,
Mohabbat Karne Walon Ki, Adda Kuch Aur Hoti Hai,

Tumhein Dekha, Tumhein Chaha, Tum Hi Se Pyar Kar Bethay,
Suno Pathar K Dil Walon, Mohabbat Aisi Hoti Hai,

Agar Chah Gham Ka Mara Hon, Magar Tum Ko Na Bholon Ga,
K Dewano K Honton Par Dua Kuch Aur Hoti Hai,

Tarap Uthey Gi Ye Duniya Agar Roye Ga Dil Mera,
K Dil Se Jo Nikalti Hai Wo Sada Kuch Aur Hoti Hai.