Allah ka zikar

Jis Tarha shabnum k qatre murjhaye howe phool ko taazgi bakhshte hain,
usi tarha Allah ka zikar mayoos diloon ko roshni bakhshta hai.

Wesay To Theek Hon

Qurbat Ki Teri Pyas Hai Wesay To Theek Hon,
Ek Dard Dil K Pass Hai Wesay To Theek Hon,

Dekha Jo Chaand Ko To Koi Yaad Aa Gaya,
So Dil Mera Udaas Hai Wesay To Theek Hon,

Tu Mujhko Apni Zaat Say Bahir Nahin Mila,
Ye Dukh Bhara Qayaas Hai Wesay To Theek Hon,

Gar Ho Na Kuch Umeed To Ho Jaon Pur Sukoon,
Ek Bay Wajah Si Aas Hai Wesay To Theek Hon.