Teri Muskurahat Meri Pehchan Hai
Teri Muskurahat Meri Pehchan Hai,
Teri Khushi Mera Armaan Hai,
Kuch Bhi Nahi Meri Zindagi Bus Itna Samajh Lena,
Teri Mohabbat Hai To Meri Jaan Hai.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Teri Muskurahat Meri Pehchan Hai,
Teri Khushi Mera Armaan Hai,
Kuch Bhi Nahi Meri Zindagi Bus Itna Samajh Lena,
Teri Mohabbat Hai To Meri Jaan Hai.
Tere Hote Bhi Tanhai Mili Hai,
Wafa Kar K Bhi Bewafai Mili Hai,
Jitni Dua Ki Tumhe Paane Ki Humne,
Us Se Ziyada Teri Judai Mili Hai.
Mat nikalo mera janaza uski gali se Faraz,
warna uska abba kahega,
.
.
.
kanjar marda marda vi ek chakkar laa hi gaya ay…
Bichar K Tujh Se Yehi Khud Ko Saza Di Maine,
Teri Talash Mein Ek Umar Laga Di Maine,
Tujhe Jo Dil Se Nikala To Yun Laga Jese,
Apne Andar Koi Dewaar Gira Di Maine,
Gongay Behron Mein Raha Jese Koi Naabina,
Zindagi Tere Bina Aise Bita Di Maine,
Jis Ka Har Lafz Adhora Raha Sanam Tum Bin,
Zindagi Aisi Aik Kitaab Bana Di Maine,
Wasi Us Ko Achanak Se Jo Khoya To Laga,
Zindagi Aik Hi Lamhay Mein Gawan Di Maine.