Wazu, Namaaz aur Dua

SPECIAL THINGS

Jub WAZU Karo To Jawan ki tarha
(Ache Se)

Jub NAMAAZ Parho to Burhon ki tarha
(Aaram Se)

Aur

Jub DUA Mango to Bacho ki tarha
(Sache Dil SE)

Momin ki misal

“Momin ki misal taraazoo k palray jesi hai
Jis qadar us k emaan mein izaafa hota hai
to utni hi us ki aazmaaish barhti hai”

Aaj apni zillat ka sabab ye hai shayad

Hum Kon Hain Kia Hain Ba Khuda Yaad Nahi,
Apne Aslaaf Ki Koi Bhi Adaa Yaad Nahi,

Hai Agar Yaad To Kafir K Taraane Ab Tak,
Hai Nahi Yaad To Kaba Ki Sada Yaad Nahi,

Bint-E-Hawa Ko Nachaate Hain Sar-E-Mehfil Ab Bhi,
Kitne Sang Dil Hain K Rasm-E-Haya Yaad Nahi,

Aaj Apni Zillat Ka Sabab Ye Hai Shayad,
Aaj Hum Ko Apna KHUDA Yaad Nahi.

Tujhe Ikhtiyar Hai Sab Ka Sab

Wo Tamam Meri Hamaqaten Jo Huen Gunah Ki Chaon Mein,
Wo Amal Ki Sari Kasafatein Jo Likhi Gayi Hain Fizaon Mein,

Tere Samne Hai Zarrah Zarrah, Teri Zaat Wakif-e-Hal Hai,
Main Bura Sahi Mujhe Bakhsh De, Mere Dil Ko Sakht Malal Hai,

Meri Neend Aankhon Se Door Hai Mera Mazi Itna Kharab Hai,
Ye Karam Hai Rab-e-Jahan Tera, Mere Har Gunah Pe Naqab Hai,

Tujhe Ikhtiyar Hai Sab Ka Sab, Mera Tujh Se Itna Sawal Hai,
TU Maaf Kar, TU KAREEM Hai, TU RAB-e-ZUL JALAL Hai.

AMEEN