Jis Din Bohat Ziada Garmi Hoti Hai

Jis Din Bohat Ziada Garmi Hoti Hai to ALLAH PAK Farishton Ko Zameen Par Bhejta Hai K Dekho Log Kia Keh Rahy Hain?
Agar Uss Garmi Mein Koi Ye Kahy K,

ALLAH HUMMA AJIRNI MINAN NAAR
(Aey ALLAH Mujhe Jahannum Ki Garmi(Aag) Se Bacha.)

To ALLAH PAK Farishto Ko Gawah Bana Kar Uss Shakhs Ko Jahannum Se Bakhsh Deta Hai.
Sab Se Iltija Hai K Garmi Ko Bura Kehny Ki Bajaye 1 Baar Ye Kalma (Dua) Apni Zuban Se Ada Karein.
JAZAK ALLAH

Loat Aao

Ye Dour Hai, Afra Tafri Ka,
Aur
Waqt Hai Nafsa Nafsi Ka,
Kuch Hosh Nahi Insanon Ka,
Khatra Hai Sab Ki Janon Ka,
Ek Khoaf Sa Sab Pe Chaya Hai,
Har Chehra Hi Murjhaya Hai,
Kio Dunya Mein Andhera Hai?
Kio Zulm Ne Sab Ko Ghera Hai?
Aawaz Ye Dil Se Aati Hai,
Aur
Raaz Humain Batlati Hai,
Deen Ko Hum Ne Chor Diya,
Quran Se Rishta Tor Diya,
Nabi Ki Sunnat Bhool Gaye,
Phir
Deen Ki Janib Loat Aao,
Quran Ki Janib Loat Aao,
Sunnat Ki Janib Loat Aao…

Aahadees

Best Hadees
1. Allah ki zaat par bharosa karne wala kabhi nakam nahi hota.
2. Kisi ka raz Talash mat karo agar malom ho jaye to phelao nai.
3. Koi bhi musibat parne par mout ki tamana na karo.
4. Insan k sab se bary dushman uske burrey dost hain.
5. Kisi ko khush karna naiki hai.
6. Allah us shaks ko abad karta hai, jo hadees sun kar dosro tak pohanchaye.