Waadon Aur Yaadon Me Kia Farq Hai?
Ek Din Kisi Ne Dil Se Pocha K Waadon Aur Yaadon Me Kia Farq Hai?
Jawab Mila,
Waadey Insaan Torta Hai
Aur
Yaadain Insaan Ko Tor Deti Hain.
Sukhanvar – A Platform for Poetry, Literature & Creative Expression
Ek Din Kisi Ne Dil Se Pocha K Waadon Aur Yaadon Me Kia Farq Hai?
Jawab Mila,
Waadey Insaan Torta Hai
Aur
Yaadain Insaan Ko Tor Deti Hain.
Koi Chahta Hai Kisi Ko Apnane K Liye,
Koi Chahta Hai Kisi Ko Tanhai Se Bachane K Liye,
Mujhe Bhi Kisi Ne Chaha Tha,
Par Sirf Apna Dil Behlaneay K Liye.
Har Bar Muqaddar Ko Kasoor Dena Achi Baat Nahi Wasi,
.
.
.
.
Kabhi Kabhi Hum Unhain Maang Lete Hain Jo Kisi Aur K Hote Hain.
Ho Raat Akeli Pichle Paher Aur Chaand Aangan Mein Aajaye,
Tum Chaand Ki Manind Tanha Ho Ye Baat Tumhain Tarpa Jaye,
Kuch Khwab Saja Kar Ankhon Mein Tum Chaand Se Batain Kar Lena,
Hum Yaad Tumhain To Karten Hain Tum Yaad Humain Bhi Kar Lena,
Kuch Baat Na Ho Jab Aisy Hi Num Aankhen Tumhari Ho Jaye,
Tum Baat Kahin Karty Ho Dil Aur Kahin Par Kho Jaye,
Jazbaat K Aisy Aalam Me Muskan Labon Py Bhar Lena,
Hum Yaad Tumhain To Karten Hain Tum Yaad Humain Bhi Kar Lena.