Kia aap k pas hain in sawalat k jawabat

Barish ka mosam romantic kio hota hai?

Shadi k baad new couple honeymoon pe kio jaaty hain?

Sirf dhulha dhulhan ko muh dekhai kio deta hai?

Rukhsati k time dhulhan apni maa ko pakar kar kio roti hai?

Valima mai khana kis cheez ki khushi mein dia jata hai?

Shadi ki date larki wale kio dete hain?

Barat waly din larki roti aur Valimay waly din hansti kio hai?

Ho Nahi Sakta

Zamane Mein Bhi Dhondo Gy To Hum Sa Ho Nahi Sakta,
Sada Usko Hi Chahte Hain Jo Apna Ho Nahi Sakta,

Bohat Ujra Howa Dil Hai Magar Apna Aqida Hai,
Jahan Mehken Teri Yaadain Wo Sehra Ho Nahi Sakta,

Kisi Ki Yaad Ab Bhi Raat Ko Sony Nahi Deti,
Shab-E-Tanhai Se Keh Do Main Tanha Ho Nahi Sakta,

Kuch Us Ki Bhi Khataen Theen Wabaal-E-Zindagi K Sath,
Sabhi Kuch Hi Muqadar Ka Likha To Ho Nahi Sakta,

Juda Ho Kar Bhi Dono Jee Rahy Hain Aik Muddat Se,
Kabhi Dono Hi Kehte Thay K Aisa Ho Nahi Sakta.