Nazar Jab Us Se Milti Thi

Nazar Jab Us Se Milti Thi, Main Khud Ko Bhool Jata Tha,
Bas Ek Dharkan Dharakti Thi, Main Dil Ko Bhool Jata Tha,

Ussay Milney Se Pehley Main, Bohat Sajta Sanwarta Tha,
Magar Jab Wo Sanwarti Thi, Main Khud Ko Bhool Jata Tha,

Main Aksar Kitabon Par, Usi Ka Naam Likhta Tha,
Magar Kuch Wo Jo Likhti Thi, Main Likhna Bhool Jata Tha,

Main Aksar Hi Ye Kehta Tha, Main Tum Se Pyar Karta Hoon,
Magar Jab Wo Ye Kehti Thi, Main Duniya Bhool Jata Tha.

Us shakhs se maafi mango

Hadees Mubarak me Irshad hai.

“Us shakhs se maafi mango, jiski gheebat ki ho, aur ye ek aisa gunah hai jiski wajah se log kat kat kar jahanum me phenky jayengy.”

Please mujhe maaf kar dena, ho sakta hai main ne kabhi aap ki gheebat ki ho. Main ne bhi aapko maaf kia.

Jazak Allah

Yaadon Ko Bhulane Mein Kuch Dair To Lagti Hai

Yaadon Ko Bhulane Mein Kuch Dair To Lagti Hai,
Aankhon Ko Sulany Mein Kuch Dair To Lagti Hai,

Kisi Shakhs Ko Bhula Dena Itna Aasan Nahi Hota,
Dil Ko Samjhany Mein Kuch Dair To Lagti Hai,

Bhari Mehfil Mein Jab Koi Achanak Yaad Aa Jaye,
Phir Aanso Chupany Mein Kuch Dair To Lagti Hai,

Jo Shakhs Jaan Se Bhi Pyara Ho, Achanak Door Ho Jaye,
Dil Ko Yakeen Dilany Mein Kuch Dair To Lagti Hai.