Hum Mohabbat Walay hain

Aap Husn Walay ho

Hum Dil Walay Hain

Aap Daulat Walay Ho

Hum SMS karne Wale hain

OR

Aap Sirf Parh kr Save karne Wale ho.

Mere exams hone walay hain

Gham-e-zindagi kesay sonaun
Mere exams hone walay hain,

Main khushi kahan se laon
Mere exams hone walay hain,

Tumhen ye gila hai jana k mizaaj hai q berham,
kaho kesay muskoraon,
Mere exams hone walay hain,

Tumhein eid ki hai khushi mujhe hai yaad wo lakin,
Main ye kaisay bhol jaon,
Mere exams hone walay hain,

Sar-e-raah main dagmagaon Mere exams hone walay hain,

Mera zakhm zakhm hai sena to lahoo lahoo safeena,
Main nejaat kesay paon,
Mere exams hone walay hain.